mujhe jana hai
door kahi, jahan koi mujhe janta nahi koi pehchanta nahi
koi ye na dekhe ki main kya kar rahi hun, koi ye na puche ki main kya soch rahi hun
han main bhag jana chahti hun is shor sharabe se, wahan jaha nishtabdh neerabata ho
jahan main sun sakoo apni sason ki awaz, jahan main jan sakoo apne dil ke ehsaas
jyada kuch pana na maine kabhi chaha na kabhi chahungi
bas itna ki jan sakoo khud ko poori tarah
ha mujhe jana hai door kahi jana hai
Comments